Friday, 21 February 2014

Hum Aarzu Ka Charagh Phir Se Jala Bhi Lainge To Kya Karainge,

Poet _ Hafeez Shahid,

Type By,


*.__SAJJAD__.*



Hum Aarzu Ka Charagh Phir Se Jala Bhi Lainge To Kya Karainge,


Shikasta Hai Ab Makaan Dil Ka Saja Bhi Laingey To Kya Karainge,


Siwaye Weeraniyon K Apne Ujaar Ghar Main To Kuch Bhi Nahin Hai,


Osey Yahan Hum Kisi Bahane Bula Bhi Lainge To Kya Karainge,


Guzarne Wali Hai Raat Gham Ki Seher Ki Manzil Qareeb Tar Hai,


Ab Aandhiyon Se Charaagh Apna Bacha Bhi Lainge To Kya Karainge,


Humare Haathon Pe Hain Muqadar Ki Jo Lakeerain Wohi Rahaingi,


Hum Apne Chehre Pe Oska Chehra Saja Bhi Lainge To Kya Karainge,


Likhi Hain Akhtar Shumariyan Hi Humari Qismat Main Jane Kab Se,


Hum Onki Aankhon Se Khwaab Oske Chura Bhi Lainge To Kya Karainge,


Humare Chehre Se Aashikara Humare Dil Ki Kahaniyan Hain,


Hum Apna Raaz_e_Wafa Kisi Se Chupa Bhi Lainge To Kya Karainge,


Bulandiyon Pe Pohonch K Shahid Naseeb Oska Yehi Zameen Hai,


Hum Aasman Par Patang Apni Ura Bhi Lainge To Kya Karainge,

No comments: