Sunday, 23 February 2014

Log Har Morh Pe Ruk Ruk K Sambhalate Kyun Hain,

Poet _ Rahat Indori,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Log Har Morh Pe Ruk Ruk K Sambhalate Kyun Hain,

Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalte Kyun Hain,

Main Na Jugnu Hoon Diya Hoon Na Koi Tara Hoon,

Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyun Hain,

Neend Se Mera Talluq Hi Nahin Sarson Se,

Khwaab Aa Aa K Meri Chat Pe Tahalte Kyun Hain,

Morh Hota Hai Jawani Ka Sambhalne K Liye,

Aur Sab Log Yahin Aa K Phisalte Kyun Hain,

Bicharna Hai To Khushi Se Bichro,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Bicharna Hai To Khushi Se Bichro,

Sawal Kaise, Jawab Choro,

Kaise Mili Hain Jahan Ki Khushiyan,

Mile Hain Kis Ko Azaab Choro,

Naye Safar Pe Jo Chal Pare Ho,

Mujhe Khabar Hai K Khush Bare Ho,

Hai Kon Ujrra Tumhare Peeche,

Ya Kiss K Toote Hain Khwaab Choro,

Mohabbaton K Tamam Waade,

Nibhaye Kiss Ne Bhulaye Kiss Ne,

Tumhain Pashemani Ho Gi Saqi,

Jo Meri Maano Hisaab Chorro,

Hum Jo Pohonche Sar_e_Maqtal To Yeh Manzar Dekha,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Hum Jo Pohonche Sar_e_Maqtal To Yeh Manzar Dekha,

Sab Se Uncha Tha Jo Sar Nook_e_Sina Par Dekha,

Hum Se Mat Pooch K Kab Chand Ubharta Hai Yahan,

Hum Ne Suraj Bhi Tere Sheher Main Aa Kar Dekha,

Pyaas Yaaron Ko Ab Iss Mor Pe Le Aayi Hai,

Rait Chamki To Yeh Samjhe K Samandar Dekha,

Itna Be_His K Pighlta Hi Na Tha Baaton Se,

Aadmi Tha K Tarasha Howa Pathar Dekha,

Dukh Hi Aisa Tha K Roya Tera Mohsin Warna,

Gham Chupa Kar Osey Hanste Howe Aksar Dekha,

Kabhi Gum Sum Kabhi Arzaan kabhi Nayab Rakhta Hai,

Poetess_ Hijab Abbasi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Kabhi Gum Sum Kabhi Arzaan kabhi Nayab Rakhta Hai,

Mujhe Mera Junoon Aksar Bohot Betaab Rakhta Hai,

Yeh Mumkin Tha Main Is Wehshat K Mosam Main Bikhar Jati,

Magar Ek Phool Sa Lehja Mujhe Shadaab Rakhta Hai,

Ajab Oski Yeh Aadat Hai K Aksar Meri Aankhon Main,

Kabhi Taarey Sajata Hai Kabhi Sailaab Rakhta Hai,

Suna Hai Hijar Ki Wehshat Osey Sar Shaar Karti Hai,

Saja Kar Ab Bhi Aankhon Main Woh Saare Khwaab Rakhta Hai,

Hijaab Oska Yeh Kehna Hai Sada Tareek Raaton Main,

Tasawar Ko Mere Woh Soorat_e_Mehtaab Rakhta Hai,

Kuch Is Tarah Khushi Ko Mujassam Utha Liya,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Kuch Is Tarah Khushi Ko Mujassam Utha Liya,

Jo Mil Raha Tha Os Se Zara Kum Utha Liya,

Taqseem Ho Rahe They Chaman Main Gul_e_ Muraad,

Main Ne Bhi Ek Nageena_e_Shabnum Utha Liya,

Bhaari Tha Do Jahan Pe Magar Jhoomte Howe,

Nok_e_Palak Pe Maine Tera Gham Utha Liya,

Shoreedgi Ka Hukm Chalega Zamane Main,

Zarron Ne Gard Baad Ka Parcham Utha Liya,

Zakhmon K Waaste Hai Namakdaan Hi Bohot,

Mere Sitam Zareef Ne Marham Utha Liya,

Ek Jhurjhuri Si Door Talak Li Zameen Ne,

Bachi Ne Shaakh_e_Gul Se Bandha Baam Utha Liya,

Rahe Ga Ishq Tera Khaak Main Mila K Mujhe,

Poet _ Daagh Dehlvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Rahe Ga Ishq Tera Khaak Main Mila K Mujhe,

K Ibtida Main Mujhe Ranj Howe Inteha K Mujhe,

Diye Hain Hijar Main Dukh Dard Kis Balaa K Mujhe,

Shab_e_Firaaq Ne Maara Lita Lita K Mujhe,

Baghair Maut K Kis Tarah Koi Marta Hai,

Mera Raqeeb Bhi Roya Gale Laga K Mujhe,

Har Ek Shaks Ko Hasil Juda Hai Kafiyat,

Jafa K Lutf Tujhe Hain Mazey Wafa K,

Ghazab Ki Aah Meri Daagh Naam Hai Mera,

Tamaam Sheher Jalaoge Kya Jala K Mujhe,

Tumhara Khat Mila Jana,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Tumhara Khat Mila Jana,

Woh Jis Main Tum Ne Pocha Hai,

K Ab Halat Kaise Hain,

Mere Din Raat Kaise Hain,

Mehrabani Tumhari Hai,

K Tum Ne Es Tarha Mujh Se

Mere Halat Poche Hain,

Mere Din Raat Poche Hain,

Tumhain Sab kuch Bata Donga,

Mujhe Itna Bata Do K,

Kabhi Saghar Kinare Par,

Kisi Machli Ko Dekha Hai,

K Jis Ko Lehrain Pani Ki,

Kinare Tak To Laati Hain,

Magar Phir Chor Jati Hain,

Mere Halat Aise Hain,

Mere Din Raat Aise Hain,

Mix

Type By,

*.__SAJJAD__.*

 1_ Sunte Hain K Rehta Hai Khuda Aadmi K Beech,

Dhoonda To Mili Sirf Khata Aadmi K Beech,


2_ Maker_o_Faraib Zaat Pe Taari Kiye Howe,


Hum Ko To Aadmi Hi Mila Aadmi K Beech,

3. Iqbal Keh Gaye They K Zarkhaiz Hai Zameen,

Lekin Yahan Hai Hashar Bapa Aadmi K Beech,


4. Ghalib Ki Rooh Khwab Main Batla Gayi Mujhe

Maadoom Ho Gayi Hai Wafa Aadmi K Beech,

5. Inshaa Bhi Kooch Kar Gaye Shayed Isi Liye,

Basti Rahi Na Sheher_e_Wafa Aadmi K Beech,

6. Matlab K Jitne Aadmi Utne Khuda Bhi Hain,

Har Aan Yeh Sawal Utha Aadmi K Beech,

7. Khud Apne Aap Se Hai Mera Aakhri Sawal,

Kyun Mojzan Hai Karb_o_bala Aadmi K Beech,

Saturday, 22 February 2014

Is Dard Ki Dunya Se Guzar Kyun Nahin Jate,

Poet _ Habib Jalib

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Is Dard Ki Dunya Se Guzar Kyun Nahin Jate,


Yeh Log Bhi Kya Log hain Mar Kyun Nahin Jate,


Hai Kon Zamane Main Mera Puchne Wala,


Nadan Hain Jo Kehte Hain K Ghar Kyun Nahin Jate,


Shole Hain To Kyun In Ko Bharakte Nahin Dekha,


Hain Khaak To Rahon Main Bikhar Kyun Nahin Jate,


Aansu Bhi Hain Aankhon Main Duain Bhi Hain Lab Par,


Bigre Howe Halaat Sanwar Kyun Nahin Jate,

Friday, 21 February 2014

Dard_e_Dil Bhi Gham_e_Doran K Barabar Se Utha,

Poet _ Mustafa Zaidi,


Type By,


*.__SAJJAD__.*


Dard_e_Dil Bhi Gham_e_Doran K Barabar Se Utha,


Aag Sehra Main Lagi Aur Dhuwan Ghar Se Utha,


Dard_e_Dil Bhi Gham_e_Doran K Barabar Se Utha,


Tabish_e_Husen Bhi Thi Aatish_e_Dunya Bhi Magar,


Shola Jis Ne Mujhe Phoonka Mere Andar Se Utha,


Dard_e_Dil Bhi Gham_e_Doran K Barabar Se Utha,


Kisi Mosam Ki Faqeeron Ko Zarurat Na Rahi,


Aag Bhi Abar Bhi Tufaan Bhi Saghar Se Utha,


Dard_e_Dil Bhi Gham_e_Doran K Barabar Se Utha,


Chand Se Shikwa Ba Lab Hoon K Sulaya Kyun Tha,


Maye Ki Khursheed_e_Jahan Khwab Ki Thokar Se Utha,


Dard_e_Dil Bhi Gham_e_Doran K Barabar Se Utha,


Aag Sehra Main Lagi Aur Dhuwan Ghar Se Utha,

Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwar K,

Poet _ Wasi Shah,


Type By,


*.__SAJJAD__.*


Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwar K,


Woh Ja Raha Hai Koi Shab_e_Gham Guzaar K,


Kuch Is Liye Bhi Apna Asasa Hai Sirf Yaad,


Dono Jahan Phank Diye Tujh Pe Waar K,


Yak Dam Hi Aa Gaya Jo Kisi Dosre Pe Dil,


Yeh Faisle To Hote Nahin Ikhtiyar K,


Dil Ko Tumhare Dard Ne Chera Kuch Iss Tarha,


Jaise Kisi Ne Cher Diye Sur Sitaar K,


Hum Khasta Tan They Aaj Se Hum Hain Berhena Tan,


Le Phenk Diye Hum Ne Tere Gham Utaar K,

Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqaddar Sakht Tar Nikla,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqaddar Sakht Tar Nikla,


Para Hai Wasta Jis Se Wohi Zair_o_Zabar Nikla,


Sabaq Deta Raha Mujh Ko Sada Roshan Khayali Ka,


Osay Jab Paas Se Dekha To Khud Bhi Tang Nazar Nikla,


Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahe They Hum,


Osay Jab Chu K Dekha To Faqat Khaaki Bashar Nikla,


Mohabbat Ka Nasha Utra To Tab Saabit Hua Mujh Ko,


Jisey Manzil Samajhte They Woh Be_Maqsad Safar Nikla.

Yeh Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Aate Hain,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Yeh Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Aate Hain,


In Main Kuch Sahab_e_Asraar Nazar Aate Hain,


Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jaate Hain,


Warna Yeh Log To Be_Daar Nazar Aate Hain,


Mere Daaman Main To Kaanton Ke Siwa Kuch Bhi Nahin,


Aap Phoolon Ke Kharidaar Nazar Aate Hain,


Aur Hashar K Roaz Kon Gawahi De Ga Meri,


Yahan Sab Tere Tarafdaar Nazar Aate Hain,

Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chupate Kyun Ho,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chupate Kyun Ho,


Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Aate Kyun Ho,


Tum Kabhi Meri Tarha Kar Bhi Lo Iqrar_E_Wafa


Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Kyun Ho,


Ashk Aankhon Main Meri Dekh K Rote Ho Tum Bhi,


Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Kyun Ho,


In Se Waabasta Hai Jab Mera Muqaddar Phir Tum,


Mere Shaano Se Yeh Zulf Hatate Kyun Ho,


Roz Maar Maar K Mujhe Jeene Ko Kehte Ho,


Aye Dost!


Milne Aate Ho To Phir Loat K Jaaty Kyun Ho,

Jo Hum Mehsoos Karte Hain,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Jo Hum Mehsoos Karte Hain,


Agar Tum Tak Pohonch Jaye,


To Bus Itna Samajh Lena,


 Yeh On Jazbon Ki Khusboo Hai,


Jinhain Hum Keh Nahin Sakte,


Magar Tum Jo Ijazat Do,


To Chand Lafzon Main Keh Daloon,


K Tum Bin Mar To Sakte Hain


Tum Bin Jee Nahin Sakte,

Woh Aksar Mujh Se Kehti Thi,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Woh Aksar Mujh Se Kehti Thi,


Wafa Hai Zaat Aurat Ki,


Magar Jo Mard Hote Hain,


Bohat Bedard Hote Hain,


Kisi Bhanware Ki Surat,


Gul Ki Khushbon Loot Lete Hain,


Suno!


Tum Ko Kasam Meri,


Rawayet Tor Daina Tum,


 Na Tanha Chor K Jana,


Na Hi Dil Tor Ke Jana,


Magar Phir Yun Howa Mohsin,


Mujhe Anjaan Raste Par,


Akela Chor Kar Osney


Mera Dil Tor Kar Os Ne,


Muhabbat Coor Di Os Ne,


Wafa Hai Zaat Aurat Ki,


Riwayat Tor Di Os Ne,

Tum Hi Ho

Movie: Ashiqui 2


Song: Tum Hi Ho


Type By,


*.__SAJJAD__.*


Hum Tere Bin Ab Reh NahiN Sakte,


Tere Bina Kya Wajood Mera,


Tujh Se Juda Gar Ho Jayenge,


 To Khud Se Hi Ho Jayenge Juda,


Kyun Ki Tum Hi Ho,


 Ab Tum Hi Ho,


Zindagi Ab Tum Hi Ho. .


Chain Bhi Mera Dard Bhi,


Meri Aashiqui Ab Tum Hi Ho,


Tera Mera Rishta Hai Kaisa,


Ek Pal Door Gawara Nahin,


Tere Liye Har Roz Hain Jeete,


Tujh ko Diya Mera Waqt Sabhi,


Koi Lamha Mera Na Ho Tere Bina,


Har Saans Pe Naam Tera,


Kyun Ki Tum Hi Ho,


Ab Tum Hi Ho,


Zindagi Ab Tum Hi Ho,


Chain Bhi Mera Dard Bhi,


Meri Aasiqui Ab Tum Hi Ho,

Bharka Rahe Hain Aag Lab_e_Naghma Ghar Se Hum,

Poet _ Sahir Ludhyanvi


Type By,


*.__SAJJAD__.*


Bharka Rahe Hain Aag Lab_e_Naghma Ghar Se Hum,


Khamosh Kya Rahainge Zamane K Dar Se Hum,


Kuch Aur Barh Gaye Jo Andhere To Kya Howa,


Mayoos To Nahin Hain Tolo_e_Sahar Se Hum,


Le De K Apne Paas Faqat Ek Nazar To Hai,


Kyun Dekhain Zindagi Ko Kisi Nazar Se Hum,


Mana K Is Zameen Ko Gulzaar Kar Sake,


Kuch Khaar Kum To Kar Gaye Guzre Jidhar Se Hum,

Dekh Kar Jise Dil Ko Qarar Aaye Ga,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Dekh Kar Jise Dil Ko Qarar Aaye Ga,


Lout Kar Kabhi To Mera Woh Yaar Aaye Ga,


Woh Mujhe Bhool Bhi Gaya Hai To Koi Baat Nahin,


Magar Khayal Osko Mera Baar Baar Aaye Ga,


Main Jaanta Hoon Oske Dil Main Mere Liye Nafrat Hai Magar,


Ek Din Woh Mere Paas Ho K Shram_Saar Aaye Ga,


Woh Bhi Ro De Ga Meri Halat Dekh Kar,


Mohabbat Pe Meri Phir Osko Aitbaar Aaye Ga,


Kehta Phire Ga Woh Logon Se Bohot Acha Tha Mera Yaar,


Jab Maiyat Pe Meri Woh Ho K Ashk_Baar Aaye Ga,

Pathar Ba_Dast Hum Ko Yahan Har Bashar Mila,

Poet Fakhra Batool


Type By,


*.__SAJJAD__.*


Pathar Ba_Dast Hum Ko Yahan Har Bashar Mila,


Khud Ko Mita Diya To Kahin Ja K Ghar Mila,


Auron Ki Zaat Se Osey Nisbat Hai Is Qadar,


Wo Raazdar Hum Se Sada Be_Khabar Mila,


Sehra Ka Abar Liye Barson Kiya Tatawaf,


Aankhain Wizu Hi Kar Sake Bas Is Qadar Mila,


Kuch To Samandron Main Utrna Muhaal Tha,


Aur Raste Ki Dhool Main Kis Ko Goahar Mila,


Manzil Mili Na Raat Ki Chaadar Simat Saki,


Bujhta Howa Sa Deep Hamain Dhoond Kar Mila,


Aur Aakhir Woh So Gaya Palkon Ko Mound Kar,


Ek Bheegta Sa Khawaab Humain Khaak Par Mila,


Dil Ka Sukoon Hum Ne Ganwa To Diya Batool,


Ek Laa-Zawal Kurub_e_Muslsal Magar Mila,

Raat Sunti Rahi Main Sunata Raha,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Raat Sunti Rahi Main Sunata Raha,


Dard Ki Dastaan Main Batata Raha,


Log Logon Se Chahat Nibhate Rahe,


Ek Woh Tha Jo Mera Dil Jalata Raha,


Dhoop Chaon Si Oski Tabiyat Rahi,


Woh Nigahain Milata Churata Raha,


Ek Main Hi Pyasa Raha,


Log Peete Rahe Main Pilata Raha,


Dil K Mehman Khane Main Ronaq Rahi,


Koi Aata Raha Koi Jata Raha,


Hum Maktab Ne Sara Sabaq Parh Liya,


Main Bus Ek Naam Likhta Mitata Raha,

Mohabbat Ki Tabiyat Main Agarche Gham Nahin Hota,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Mohabbat Ki Tabiyat Main Agarche Gham Nahin Hota,


Magar Hadsa Judai Ka Ghamon Se Kam Nahin Hota,


Koi Jugnu Koi Tara Kahin Se Dhond Kar Lao,


Gharon Ko Phoonk Dene Se Andhera Kam Nahin Hota,


Mohabbat Karne Wale To Hamesha Saath Rehte Hain,


Mohabbat Main Judai Ka Koi Mausam Nahin Hota,


Mujhe Chor Kar Khud Bhi Saari Umar Tum Tarpay Ho,


Koi Aisi Saza Dete Tumhain To Gham Nahin Hota,


Zameen Walo Se Yeh Keh Kar Dhal Gaya Sooraj,


Ujala Baant Dena Se Ujala Kum Nahin Hota,

Manzalain Ruswa Hain Khoya Hai Raasta Aaye Le Jaaye Itni Si Iltija,

SONG,


Film: Aashiqui 2,

Type By,


*.__SAJJAD__.*



Manzalain Ruswa Hain Khoya Hai Raasta Aaye Le Jaaye Itni Si Iltija,


Yeh Meri Zamanat Hai Tu Meri Amanat Hai,


Mujh Ko Irade De Qasmain De Wade De,


Meri Duaon K Ishare Ko Sahare De,


Dil Ko Thikane De Naye Bahane De,


Khwabon Ki Barishon Ko Mausam K Pemane De,


Apne Karm Ki Kar Adayain Kar De Idhar Bhi Tu Nighain,


Sun Raha Hai Na Tu Ro Rahi Hoon Main,


Sun Raha Hai Na Tu Kyun Ro Rahi Hoon Main,


YaaaaRaaaaa YaaaaaRaaaaaa


Waqt Bhi Thera Hai Kaise Kyun Yeh Howa,


Kaash Tu Aise Aaye Jaise Koi Duaa,


Tu Roh Ki Raahat Hai Tu Meri Ibadat Hai,


Apne Karm Ki Kar Adain Kar De Idhar Bhi Tu Nigahain,


Sun Raha Hai Na Tu Ro Rahi Hoon Main,


Sun Raha Hai Na Tu Kyun Ro Rahi Hoon Main,


Sun Raha Hai Na Tu Ro Rahi Hoon Main,


Sun Raha Hai Na Tu Kyun Ro Rahi Hoon Main,

Hum Aarzu Ka Charagh Phir Se Jala Bhi Lainge To Kya Karainge,

Poet _ Hafeez Shahid,

Type By,


*.__SAJJAD__.*



Hum Aarzu Ka Charagh Phir Se Jala Bhi Lainge To Kya Karainge,


Shikasta Hai Ab Makaan Dil Ka Saja Bhi Laingey To Kya Karainge,


Siwaye Weeraniyon K Apne Ujaar Ghar Main To Kuch Bhi Nahin Hai,


Osey Yahan Hum Kisi Bahane Bula Bhi Lainge To Kya Karainge,


Guzarne Wali Hai Raat Gham Ki Seher Ki Manzil Qareeb Tar Hai,


Ab Aandhiyon Se Charaagh Apna Bacha Bhi Lainge To Kya Karainge,


Humare Haathon Pe Hain Muqadar Ki Jo Lakeerain Wohi Rahaingi,


Hum Apne Chehre Pe Oska Chehra Saja Bhi Lainge To Kya Karainge,


Likhi Hain Akhtar Shumariyan Hi Humari Qismat Main Jane Kab Se,


Hum Onki Aankhon Se Khwaab Oske Chura Bhi Lainge To Kya Karainge,


Humare Chehre Se Aashikara Humare Dil Ki Kahaniyan Hain,


Hum Apna Raaz_e_Wafa Kisi Se Chupa Bhi Lainge To Kya Karainge,


Bulandiyon Pe Pohonch K Shahid Naseeb Oska Yehi Zameen Hai,


Hum Aasman Par Patang Apni Ura Bhi Lainge To Kya Karainge,

Parakhna Mat Parakhne Main Koi Apna Nahin Rehta,

Poet _ Basheer Badar,


Type By,


*.__SAJJAD__.*


Parakhna Mat Parakhne Main Koi Apna Nahin Rehta,


Kisi Bhi Aaine Main Dair Tak Chehra Nahin Rehta,


Bare Logon Se Milne Main Hamesha Faasla Rakhna,


Jahan Darya Samandar Se Mila Darya Nahin Rehta,


Hazaron Shair Mere So Gaye Kaghaz Ki Qabron Main,


Ajab Maa Hoon Koi Bacha Mera Zinda Nahin Rehta,


Koi Badal Harey Mosam Ka Phir Elaan Karta Hai,


Khizaan K Baagh Main Jab Ek Bhi Pata Nahin Rehta,


Muhabbat Ek Khushbon Hai Hamesha Saath Chalti Hai,



Koi Insan Tanhai Main Bhi Tanha Nahin Rehta,


Tumhara Sheher To Bilkul Naye Andaaz Wala Hai,


Humare Sheher Main Bhi Ab Koi Hum Sa Nahin Rehta,


Woh Humsafar Tha Magar Os Se Hum Nawai Na Thi,

Poet _ Naseer Turabi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Woh Humsafar Tha Magar Os Se Hum Nawai Na Thi,

K Dhoop Chaon Ka Alam Raha Judai Na Thi,

Adawatain Thin Taghafil Tha Ranjishain Thin Magar,

Bicharne Wale Main Sab Kuch Tha Magar Bewafai Na Thi,

Bicharte Waqt On Aankhon Main Thi Humari Ghazal,

Ghazal Bhi Woh Jo Kisi Ko Sunai Na Thi,

Yeh Dukhon Ki Lambi Mosafatain,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Yeh Dukhon Ki Lambi Mosafatain,


Kabhi Nafratain,


Kabhi Chahatain,


Kahin Kar Na Dain Humain Phir Juda,


Mujhe Bhool Ja,


Mujhe Bhool Ja,


Main Ghareeb Muflis Hoon,


Jan_e_Jan


Mere Saath Jaye Ga Tu Kahan,


Meri Baat Pagal Tu Maan Ja,


Tujhe De Sakon Ga Bhala Main Kya,


Tu Khoobsurat Hai Dil Nasheen,


Tujhe Mil Jaye Ga Koi Hum Nasheen,


 Tu Talash Kar Naya Humsafar,


Mujhe Rehne De Yun Hi Dar Badar,


Mere Paas Dukh K Siwa Hai Kya,


Mujhe Bhool Ja,


Mujhe Bhool Ja,

Deewar Pe Rakha Howa Mitti Ka Diya Main,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Deewar Pe Rakha Howa Mitti Ka Diya Main,


Sab Kuch Kaha Aur Raat Se Kuch Bhi Na Kaha Main,


Kuch Aur Bhi Maskan They Tere Dil K Ilaawa,


Lagta Hai Kahin Aur Bhi Mismaar Howa Main,


Is Dukh Ko To Main Theek Bata Bhi Nahin Pata,


Main Khud Ko Muyassar Tha Magar Mil Na Saka Main,


Jaaga Hoon Magar Khwab Ki Wehshat Nahin Jati,


Kya Dekhta Hoon Yaar Tujhe Bhool Gaya Main,


Palta Hoon To Yaadon Pe Bohot Gard Pari Thi,


Shayad Koi Darwaza Khula Chor Gaya Main,


Suraj K Ufaq Hote Hain Manzil Nahin Hoti,


So Dhalta Raha Jalta Raha Chalta Raha Main,


Ek Ishq Qabeela Meri Mitti Main Chupa Tha,


Ek Shakhs Tha Lekin Koi Ek Shakhs Na Tha Main,


Ek Ghoont Ki Voqat Mere Pindaar Se Kam Hai,


Iss Baat Se Waqif Mera Mashkeeza Hai Ya Main,


Ek Jism Main Rehte Howe Hum Door Bohot They,


Aankhain Na Khulin Mujh Pe Na Aankhon Pe Khula Main,


Kuch Aur Bhi Darkaar Tha Sab Kuch K Ilawa,


Kya Hoga Jise Dhoondta Tha Tere Siwa Main,

Jitna Bhi Osko Sochon Otna Hi Yaad Paon,

Poet _ Parveen Shakir

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Jitna Bhi Osko Sochon Otna Hi Yaad Paon,

Jitna Bhi Osko Chahon Khud Hi Bikharti Jaon,

Main Aam Si Musaafir Be Aas Be Sahaara,

Woh Door Basne Wala Ek Aasman Ka Taara,

Main Rait Se Ulajhati Sehraaon Ki Hawa Hoon,

Woh Saahilon Pe Chalta Baad_e_Saba Ka Jhoonka,

Haan Faraq Tu Bohat Hai Par Baat Faqat Yeh Hai,

Main Laakh Toot Jaaon Khud Hi Se Rooth Jaaon,

Par Yeh Na Hoga Mujh Se K Main Osko Bhool Jaaon,