Sunday, 25 May 2014

Ab Aye Mere Ehsas_e_Janoon Kya Mujhe Dena,

Poet _ Mohsin Naqvi,

*.__SAJJAD__.*

Ab Aye Mere Ehsas_e_Janoon Kya Mujhe Dena,

Darya Osay Bakhsha Hai To Sehra Mujhe Dena,

Tum Apna Makaan Jab Karo Taqseem To Yaro,

Girti Howi Deewaar Ka Saya Mujhe Dena,

Jab Waqt Ki Murjhayi Howi Shaakh Sambhalo,

Os Shaakh Se Toota Howa Lamha Mujhe Dena,

Tum Mera Badan Orrh K Phirte Raho Lekin,

Mumkin Ho To Ek Din Mera Chehra Mujhe Dena,

Choo Jaye Hawa Jis Se To Khushbu Teri Aaye,

Jate Howe Ek Zakhm To Aisa Mujhe Dena,

Shab Bhar Ki Musafat Hai Gawahi Ki Talabgaar,

Aray Subah_e_Safar Apna Sitara Mujhe Dena,

Ek Dard Ka Mela Laga Hai Dil_o_Jaan Main,

Ek Rooh Ki Aawaz Ka Rasta Mujhe Dena,

Ek Taza Ghazal Izan_e_Sukhan Mang Rahi Hai,

Tum Apna Mehekta Howa Lehja Mujhe Dena,

Woh Mujh Se Kahin Barh K Museebat Main Tha,

Mohsin,

Reh Reh K Magar Os Ka Dilasa Mujhe Dena,

Sanson K Is Hunar Ko Na Aasan Khayal Kar,

Poet _ Mohsin Naqvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Sanson K Is Hunar Ko Na Aasan Khayal Kar,

Zinda Hoon Saaton Ko Sadyon Main Dhal Kar,

Maali Ne Aaj Kitni Duaain Wasool Ki,

Kuch Phool Ek Faqeer Ki Jholi Main Daal Kar,

Kal Youm_e_Hijar Zard Zamanon Ka Youm Hai,

Shab Bhar Na Jaag Muft Main Aankhain Na Laal Kar,

Aye Gird Baad Lout K Aana Hai Phir Mujhe,

Rakhna Mere Safar Ki Aziyat Sambhal Kar,

Mehraab Main Diye Ki Tarha Zindagi Guzar,

Monh Zor Aandhiyon Main Na Khud Ko Nidhaal Kar,

Shayad Kisi Ne Bukhl_e_Zameen Par Kiya Hai Tanz,

Gehre Samandaron Se Jazeere Nikal Kar,

Yeh Naqad Jaan K Is Ka Lotana To Sahal Hai,

Gar Ban Pare To Is Se Bhi Mushkil Sawal Kar,

Mohsin Barhana Sur Chali Aai Hai

Sham_e_Gham,

Ghurbat Na Dekh Is Sitaron Ki Shaal Kar,

Yeh Taaluq Bhi Bohot Khoob Raha Hai Kuch Din,

Poet _ Mohsin Naqvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Yeh Taaluq Bhi Bohot Khoob Raha Hai Kuch Din,

Tu Mere Naam Se Mansoob Raha Hai Kuch Din,

Aankh Reh Reh K Teri Raah Taka Karti Thi,

Dil Teri Yaad Se Maghloob Raha Hai Kuch Din,

Teri Tashbeeh Bana Kar Tujhe Socha Karna,

Mashghla Yeh Mera Marghoob Raha Hai Kuch Din,

Shayad Is Baat Ka Matlab Main Samajh Na Paon,

Kyun Mera Dil Tujhe Matloob Raha Hai Kuch Din,

Barish_e_Sang Se Pehle Yeh Zara Soch To Lo,

Tera Mohsin Tera Mehboob Raha Hai Kuch Din,

Bharosa Toot Jane Se Zara Pahle Bata Dena,

Poet _ Mohsin Naqvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Bharosa Toot Jane Se Zara Pahle Bata Dena,

Mujhe Tum Aazmane Se Zara Pehle Bata Dena,

Kisi Heele Bahane Se Zara Pehle Bata Dena,

K Mujh Ko Tum Bholane Se Zara Pehle Bata Dena,

Zameen Ki Rait Pe Tum Ne Mohabbat Se Likhi Thi Jo,

Woh Tehreerain Mitane Se Zara Pehle Bata Dena,

Mere Dilbar K Is Dil Par Main Rakh Loon Zabt Ka Pathar,

Suno Daman Churane Se Zara Pehle Bata Dena,

Kisi Bhi Mor Pe Mohsin Bura Pao Agar Mujh Ko,

Zara Pehle Bata Dena,

Saturday, 24 May 2014

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Hall Hona Hai,

Poet _ Wasi Shah,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Hall Hona Hai,

K Ashk Rookna Tum Se Mahaal Hona Hai,

Har Ek Lab Pe Hai Meri Wafa K Afsane,

Tere Sitam Ko Abhi Lazawal Hona Hai,

Baja K Khaar Hai Lekin Bahaar Ki Rut Main,

Yeh Teh Hai Ab K Humain Bhi Nihal Hona Hai,

Tumhain Khabar Nahin Tum To Loat Jaoge,

Tumhare Hijar Main Lamha Bhi Saal Hona Hai,

Humari Rukh Pe Jab Bhi Azab Utrenge,

Tumhari Yaad Ko Is Dil Ki Dhaal Hona Hai,

Kabi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bahon Main,

Kabi To Oski Hansi Ko Bhi Zawal Hona Hai,

Milaingi Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushyan,

Bus Intezar Hai Kab Yeh Kamal Hona Hai,

Har Ek Shakhs Chalega Humari Rahon Par,

Muhabbaton Main Humain Woh Misaal Hona Hai,

Zamana Jis K Khum_o_Pach Main Ulajh Jaye,

Humari Zaat Ko Aisa Sawal Hona Hai.

Wasi Yaqeen Hai Mujh Ko Woh Loat Aaye Ga ,

Osey Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai,

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha,

Poet _ Saadullah Shah

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha,

Wahin Khilte To Acha Tha,

Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha,

Tum Hi Milte To Acha Tha,

Koi Aa Kar Humain Pooche,

Tumhain Kise Bhulaya Hai,

Tumhare Khat Ko Ashkon Se,

Shab_e_Gham Main Jalaya Hai,

Hazaron Zakham Aise Hain Agar Silte To Acha Tha,

Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha,

Tum Hi Milte To Acha Tha,

Tumhain Jitna Bhulaya Hai,

Utni Tumhari Yaad Aayi Hai,

Bahar_e_No Jo Aayi Hai,

Wohi Khushbon Hi Layi Hai,

Tumhari Lab Meri Khatir Agar Hilte To Acha Tha,

Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha,

Tum Hi Milte To Acha Tha,

Mila Hai Lutf Bhi Hum Ko Haseen Yadon K Jhil Mil Main,

Kati Hai Zindagi Tum Bin Magar Itni Se Hai Dil Main,

Agar Aati To Acha Tha Agar Milte To Acha Tha,

Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha,

Tum Hi Milte To Acha Tha,

Abhi Hum Barf_Baari K Nazare Yaad Karte Hain,

Poet _ Riaz Haans

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Abhi Hum Barf_Baari K Nazare Yaad Karte Hain,

Tumhare Saath Jo Lamhe Guzare Yaad Karte Hain,

Meri Ujri Howi Raaton Main Shabnam Muskurati Hai,

Chale Aao Tumhain Hum Gham K Maare Yaad Karte Hain,

Main Jin K Saath Khush Hota Yeh Jin Se Rooth Jaata Tha,

Mujhe Ab Gaon K Woh Yaar Saare Yaad Karte Hain,

Riaz Aisa Bhi Hota Hai Kabhi Sheher_e_Mohabbat Main,

Kisi Ki Garm Aankhon K Ishare Yaad Karte Hain,

Udaas Dil Ki Veeraniyon Main Bikhar Gaye Hain Gulaab Sare,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Udaas Dil Ki Veeraniyon Main Bikhar Gaye Hain Gulaab Sare,

Yeh Meri Basti Se Kon Guzra Nikhar Gaye Hain Gulaab Sare,

Woh Door Tha To Haqeeqaton Par Saraab Ka Ek Gumaan Sa Tha,

Woh Paas Hai To Gumaan Hai K Haqeeqatain Hain Saraab Sare,

Na Jane Kitni Shikaytain Thin Najane Kitne Gile They On Se,

Jo On Ko Dekha To Bhool Bethe Sawal Sare Jawab Sare,

Jo Woh Na Hota To Kis Tarah Meri Soch Ko Phir Haroof Milte,

Bus Ek Hi Zaat Ne Diye Hain Kitab Ko Meri Baab Sare,

Mujrim Hoon Tera Aa Mujhe Jo Chahe Saza De,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Mujrim Hoon Tera Aa Mujhe Jo Chahe Saza De,

Is Dil Main Muhabbat Ki Sanam Aag Laga De,

Jazbaat Ka Dil Main Koi Tofan Utha K,

Kehte Hain Jise Pyar Zamane Ko Dikha De,

Dunya Se Kabhi Pyar Ka Shikwa Na Karonga,

Le Haath Main Khanjar Meri Gardan Ko Ura De,

In Mast Nigahon Se Sar_e_Shaam Pilakar,

Dewane Ko Kuch Aur Hi Dewana Bana De,

Ab Pyar Ki Is Rah Say Kanton Ko Hatakar,

Dushman Ko Jalane K Liye Phool Bicha De,

Ab Husn E Tajalli Say Jale Sirf Hai Tera,

Rukhsar Pay Apne Zara Parde Ko Gira Day,

Mujhe Apne Barbaad Hone Ka Gham Nahin,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Mujhe Apne Barbaad Hone Ka Gham Nahin,

Teri Barbadi Ka Suna To Bohot Roya,

Main Ne Har Pal Har Su Tujhe Yaad Kiya,

Jab Tujhe Apni Yaad Se Ghaafil Paya To Bohot Roya,

Yeh Zindagi Yeh Ronaqain Yeh Ranjishain,

Jab In Sab Main Tujhe Tanha Paya To Bohot Roya,

Main Ne Apne Dil K Har Kone Main Sirf Tujh Ko Hi Basaya,

Tere Dil Main Basa Jab Koi Aur Dekha To Bohot Roya,

Main Jaanta Tha K To Es K Naseeb Main Nahin Hai,

Lekin Phir Bhi Tujhe Khuda Se Baar Baar Maanga To Bohat Roya,

Toote Howe Kaanch Ki Surat Bikhar Jata Hoon,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Toote Howe Kaanch Ki Surat Bikhar Jata Hoon,

Main Oski Yaad Main Jab Had Se Guzar Jata Hoon,

Ab Gurezan Hai Woh Milne Se,

Jo Kehta Tha Kabhi,

Tum Se Milte Hi Main Kuch Aur Nikhar Jata Hoon,

Roz Khata Hoon Osko Yaad Na Karne Ki Qasam,

Roz Wadon Se Main Apne Mukar Jata Hoon,

Mujh Ko Tamasha Bana Diya Hai Mohabbat Ne,

Log Dete Hain Aawazain Main Jidhar Jata Hoon,

Har Mor Pee Khaya Hai Mohabbat Ka Dhoka,

Ab Koi Pyar Se Bulata Hai To Dar Jata Hoon,

Khushyon Ki Aarzu Main Muqadar Bhi So Gaye,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Khushyon Ki Aarzu Main Muqadar Bhi So Gaye,

Aandhi Chali Kuch Aisi K Apne Hi Kho Gaye,

Kiya Khoob Tha Onka Yeh

Andaz_e_Muhabbat,

Pyar Dene Aaye They Palkain Bhigo Gaye,

Woh Manzilain Bhi Kho Gain,

Woh Raste Bhi Kho Gaye,

Jo Aashna Se Loog They,

Woh Ajnabi Se Ho Gaye,

Na Chand Tha Na Chandni,

Ajeeb Thi Woh Roshni,

Chiraagh They K Bujh Gaye,

Naseeb They K So Gaye,

Tere Lab Se Jo Adaa Hote Hain,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Tere Lab Se Jo Adaa Hote Hain,

Naseeb On Lafzon K Bhi Kya Hote Hain,

Main Wahan Ja K Tujhe Maang Loon Ga,

Koi Bata De K Faisle Qudrat K Kahan Hote Hain,

Teri Yaad Jab Had Se Guzar Jati Hai,

Meri AanKhon Se Tab Aansu Rawan Hote Hain,

Main Ab Kahan Chala Jaon Iss Dil Ko Le Kar,

Teri Yaad K Lamhe To Har Jaga Hote Hain,

Chot Ishq Ki Kha K Bhi Jo Muskurain,

Mohsin,

Woh Log Bhi Sabar Ki Intaha Hote Hain,

Agar Har Phool Ki Khushbo Lubhati Dil Ko,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Agar Har Phool Ki Khushbo Lubhati Dil Ko,

Gulab Khaas Na Hota Baharon Main,

Agar Har Koi Saath Deta Zamane Main,

To Tanha Chand Na Hota Sitaron Main,

Agar Wafa Hoti Khon K Rishton Main,

To Yousuf Kyoun Bikta Misar K Bazaron Main,

Moqa Milte Hi Raasta Badalte Hain,

Yeh Ada Khaas Hai Aaj Kal K Yaaron Main,

Shayad Hum Bhi Khush Naseeb Hote,

Agar Woh Apna Samajhte Humain Hazaron Main,

Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khyal They Hum Bhi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khyal They Hum Bhi,

Gaye Dinon Main Bohot Ba_Kamal They Hum Bhi,

Hamari Khoj Main Rehti Thin Titliyan Aksar,

K Apne Sheher Ka Husn_o_Jamal They Hum Bhi,

Zameen Ki Goad Main Sar Rakh K So Gaye Aakhir,

Tumhare Hijar Main Kitne Nidhaal They Hum,

Haqeeqat Jaan Kar Aisi Himakat Kon Karta Hai,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Haqeeqat Jaan Kar Aisi Himakat Kon Karta Hai,

Bhala Be_Faiz Logon Se Mohabbat Kon Karta Hai,

Batao Jis Tijarat Main Khasara Hi Khasara Ho,

Bina Soche Khasare Ki Tijarat Kon Karta Hai,

Humain Hi Ghalat Fehmi Thi Kisi K Waste Warna,

Zamane K Riwajon Se Baghawat Kon Karta Hai,

 Khuda Ne Sabar Karne Ki Mujhe Tofeeq Bakhshi Hai,

Arey Jee Bhar K Tarpao Shikayat Kon Karta Hai,

Fasile Simat Gaye,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Fasile Simat Gaye,

Dua Se Kaam Chal Gaya,

Ashk Phir Nikal Pare,

Phir Azaab Tal Gaya,

Kise Yaqeen Aaye Ga,

Kis Se Ja K Yeh Kahon,

Ek Bujhe Chiragh Se,

Mera Haath Jal Gaya,

Abhi To Meri Aankh Main Neend Bhi Hai Khwab Bhi,

Sochta Hoon Phir Kabhi To Agar Badal Gaya,

Ek Udaas Raah Se,

Nadi K Zard Pair Se,

Tera Pochta Raha,

Aur Chand Dhal Gaya,

Tujhe Bhi Ek Shakhs Ka Faraib Raas Aa Gaya,

Kisi K Jhoot Mot Se Murtaza Bhi Kuch Behel Gaya,

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hoon Abhi,

Poet Mohsin Naqvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hoon Abhi,

Phir Se Maqtal Ko Sanwaro K Main Zinda Hoon Abhi,

Yeh Shab_e_Hijar To Saathi Hai Meri Barson Se,

Jao So Jao Sitaron K Main Zinda Hoon Abhi,

Yeh Preshan Se Geso Dekhe Nahin Jate,

Apni Zulfon Ko Sanwaro K Main Zinda Hoon Abhi,

Lakh Mojon Main Ghera Hoon Abhi,

Dooba To Nahin,

Mujh Ko Sahil Se Pukaro K Main Zinda Hoon Abhi,

Qabar Se Aaj Bhi Mohsin Ki Aati Hai Sada,

Tum Kahan Ho Yaro K Main Abhi Zinda Hoon,

Friday, 21 March 2014