Friday, 21 March 2014

Bharosa Toot Jane Se Zara Pahle Bata Dena,

Poet _ Mohsin Naqvi,


Type By,

*.__SAJJAD__.*

Bharosa Toot Jane Se Zara Pahle Bata Dena,


Mujhe Tum Aazmane Se Zara Pehle Bata Dena,


Kisi Heele Bahane Se Zara Pehle Bata Dena,


K Mujh Ko Tum Bholane Se Zara Pehle Bata Dena,


Zameen Ki Rait Pe Tum Ne Mohabbat Se Likhi Thi Jo,


Woh Tehreerain Mitane Se Zara Pehle Bata Dena,


Mere Dilbar K Is Dil Par Main Rakh Loon Zabt Ka Pathar,


Suno Daman Churane Se Zara Pehle Bata Dena,


Kisi Bhi Mor Pe Mohsin Bura Pao Agar Mujh Ko,


Zara Pehle Bata Dena,

Yeh Taaluq Bhi Bohot Khoob Raha Hai Kuch Din,

Poet _ Mohsin Naqvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Yeh Taaluq Bhi Bohot Khoob Raha Hai Kuch Din,

Tu Mere Naam Se Mansoob Raha Hai Kuch Din,

Aankh Reh Reh K Teri Raah Taka Karti Thi,

Dil Teri Yaad Se Maghloob Raha Hai Kuch Din,

Teri Tashbeeh Bana Kar Tujhe Socha Karna,

Mashghla Yeh Mera Marghoob Raha Hai Kuch Din,

Shayad Is Baat Ka Matlab Main Samajh Na Paon,

Kyun Mera Dil Tujhe Matloob Raha Hai Kuch Din,

Barish_e_Sang Se Pehle Yeh Zara Soch To Lo,

Tera Mohsin Tera Mehboob Raha Hai Kuch Din,

Sanson K Is Hunar Ko Na Aasan Khayal Kar,

Poet _ Mohsin Naqvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Sanson K Is Hunar Ko Na Aasan Khayal Kar,

Zinda Hoon Saaton Ko Sadyon Main Dhal Kar,

Maali Ne Aaj Kitni Duaain Wasool Ki,

Kuch Phool Ek Faqeer Ki Jholi Main Daal Kar,

Kal Youm_e_Hijar Zard Zamanon Ka Youm Hai,

Shab Bhar Na Jaag Muft Main Aankhain Na Laal Kar,

Aye Gird Baad Lout K Aana Hai Phir Mujhe,

Rakhna Mere Safar Ki Aziyat Sambhal Kar,

Mehraab Main Diye Ki Tarha Zindagi Guzar,

Monh Zor Aandhiyon Main Na Khud Ko Nidhaal Kar,

Shayad Kisi Ne Bukhl_e_Zameen Par Kiya Hai Tanz,

Gehre Samandaron Se Jazeere Nikal Kar,

Yeh Naqad Jaan K Is Ka Lotana To Sahal Hai,

Gar Ban Pare To Is Se Bhi Mushkil Sawal Kar,

Mohsin Barhana Sur Chali Aai Hai

Sham_e_Gham,

Ghurbat Na Dekh Is Sitaron Ki Shaal Kar,

Ab Aye Mere Ehsas_e_Janoon Kya Mujhe Dena,

Poet _ Mohsin Naqvi,

*.__SAJJAD__.*

Ab Aye Mere Ehsas_e_Janoon Kya Mujhe Dena,

Darya Osay Bakhsha Hai To Sehra Mujhe Dena,

Tum Apna Makaan Jab Karo Taqseem To Yaro,

Girti Howi Deewaar Ka Saya Mujhe Dena,

Jab Waqt Ki Murjhayi Howi Shaakh Sambhalo,

Os Shaakh Se Toota Howa Lamha Mujhe Dena,

Tum Mera Badan Orrh K Phirte Raho Lekin,

Mumkin Ho To Ek Din Mera Chehra Mujhe Dena,

Choo Jaye Hawa Jis Se To Khushbu Teri Aaye,

Jate Howe Ek Zakhm To Aisa Mujhe Dena,

Shab Bhar Ki Musafat Hai Gawahi Ki Talabgaar,

Aray Subah_e_Safar Apna Sitara Mujhe Dena,

Ek Dard Ka Mela Laga Hai Dil_o_Jaan Main,

Ek Rooh Ki Aawaz Ka Rasta Mujhe Dena,

Ek Taza Ghazal Izan_e_Sukhan Mang Rahi Hai,

Tum Apna Mehekta Howa Lehja Mujhe Dena,

Woh Mujh Se Kahin Barh K Museebat Main Tha,

Mohsin,

Reh Reh K Magar Os Ka Dilasa Mujhe Dena,

Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibhane Wala,

Poet _ Ahmad Faraz,
Type By,

*.__SAJJAD__.*

Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibhane Wala,

Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala,

Ab Isey Log Samajhte Hain Giraftaar Mera,

Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Main Laane Wala,

Kya Kahain Kitne Marasim They Hamare Is Se,

Woh Jo Ek Shakhs Hai Munh Phair Ke Jane Wala,

Tere Hote Howe Aa Jaati Thi Saari Duniya,

Aaj Tanha Hoon To Koi Nahin Aane Wala,

Muntazir Kis Ka Hoon Tooti Howi Dehleez Pe Main,

Kon Aaye Ga Yahan Kon Hai Aane Wala,

Maine Dekha Hai Baharon Main Chaman Ko Jalte,

Hai Koi Khwaab Ki Tabeer Batane Wala,

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Main Ghula Hai Itna,

Hai Wohi Mujh Ko Sar_e_Dar Bhi Laane Wala,

Tum Takaluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho Faraz,

Dost Hota Nahin Har Haath Milane Wala,

Main Apni Dosti Ko Sheher Main Ruswa Nahin Karti,

Poetess _ Parveen Shakir,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Main Apni Dosti Ko Sheher Main Ruswa Nahin Karti,

Mohabbat Main Bhi Karti Hoon Magar Charcha Nahin Karti,

Jo Mujh Se Milne Aa Jaye Main Os Ki Dil Se Khadim Hoon,

Jo Utth K Jana Chahe Main Osay Roka Nahin Karti,

Jise Main Chor Deti Hoon Osay Phir Bhool Jati Hoon,

Phir Os Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahin Karti,

Tera Israr Sir Aankhon Pe K Tum Ko Bhool Jaon Main,

Main Koshish Kar K Dekhon Gi Magar Wada Nahin Karti,

Ab Koi Chand Mera Hai Na Satara Mohsin,

Poet _ Mohsin Naqvi,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Ab Koi Chand Mera Hai Na Satara Mohsin,

Ab Kaha Jaon Ga Main Dard Ka Mara Mohsin,

Mujh ko Toofan Main Rehne Ki Bohot Aadat Hai,

Mujh Ko Le Jao Na Sahil Pe Khudara Mohsin,

Dard Ki Raah Main Tum Roaz Chalo Gay Kab Tak,

Ab Bhi Kar Sakte Ho Tum Hum Se Kinara Mohsin,

Aag Lag Jaati Hai Apno K Dilon Main Jis Se,

Karte Kyun Ho Wohi Baat Dubara Mohsin,

Raat Andhere Main Mere Ghar Ko Jalaya Kis Ne,

Mujh Ko Yeh Kaam Bhi Lagta Hai Tumhara Mohsin,

Osey Kehna Yeh Duniya Hai,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Osey Kehna Yeh Duniya Hai,

Yahan Har Shakhs Matlab Ki,

Haddon Tak Saath Chalta Hai,

Jonhi Mausam Badalta Hai,

Mohabbat K Sabhi Daawe,

Sabhi Qasmain Sabhi Waade,

Achanak Toot Jate Hain,

Osey Kehna Yeh Duniya Hai,

Yahan Har Morh Pe Apni,

Sada Aankhain Khuli Rakhna,

Koi Kitna Bhi Acha Ho,

Koi Kitna Bhi Sacha Ho,

Magar Aitabar Mat Karna,

Osey Kehna Yeh Duniya Hai,

Yahan Pe Pyar Mat Karna,

Hazaron Dukh Parain Sehna Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Poet _ Wasi Shah,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Hazaron Dukh Parain Sehna Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Hai Tum Se Bus Yehi Kehna Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Tera Har Bar Mere Khat Ko Parhna Aur Ro Dena,

Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Kiya Tha Hum Ne Campus Ki Nadi Par Ek Haseen Wada,

Bhale Hum Ko Pare Marna Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Jahan Main Jab Talak Panchi Cehekte Urte Phirte Hain,

Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Purane Ehd Ko Jab Zinda Karne Ka Khayal Aaye,

Mujhe Bus Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Mujhe Bus Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Woh Tera Hijar Ki Shab_e_Phone Rakhne Se Zara Pahle,

Bahot Rote Howe Kehna Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Agar Hum Hasraton Ki Qabar Mein Dafan Ho Jain,

To Ye Kutbon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Purane Rabton Ko Phir Naye Wade Ki Khawahish Hai,

Zara Ek Baar To Kehna Mohabbat Mar Nahin Sakti,

Gaye Lamhaat Fursat K Kahan Se Dhoond Kar Laon,

Woh Pehron Haath Pe Likhna Mohabbat Mar Nahin Sakti....

Chal Dil Apne Gaon Main,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Chal Dil Apne Gaon Main,

Yahan Ujlay Ujlay Roop Bohot,

Par Asli Kum Behroop Bohot,

Os Shajar K Neeche Kya Rukna,

Jahan Saya Kum Ho Dhoop Bohot,

Chal Dil Apne Gaon Main,

Bethainge Sukh Ki Chaon Main,

Kyun Teri Aankh Sawali Hai,

Yahan Har Ek Baat Nirali Hai,

Is Dais Basera Mat Karna,

Yahan Muflis Hona Gaali Hai,

Chal Dil Apne Gaon Main,

Jahan Sache Rishte Yaaron K,

Jahan Wade Pakke Pyaron K,

Zanjeer Na Koi Paon Main,

Chal Dil Apne Gaon Main,

Chal Dil Apne Gaon Main,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Chal Dil Apne Gaon Main,

Yahan Ujlay Ujlay Roop Bohot,

Par Asli Kum Behroop Bohot,

Os Shajar K Neeche Kya Rukna,

Jahan Saya Kum Ho Dhoop Bohot,

Chal Dil Apne Gaon Main,

Bethainge Sukh Ki Chaon Main,

Kyun Teri Aankh Sawali Hai,

Yahan Har Ek Baat Nirali Hai,

Is Dais Basera Mat Karna,

Yahan Muflis Hona Gaali Hai,

Chal Dil Apne Gaon Main,

Jahan Sache Rishte Yaaron K,

Jahan Wade Pakke Pyaron K,

Zanjeer Na Koi Paon Main,

Chal Dil Apne Gaon Main,

Insan Hoon Khwahishon Ki Farawani Nahin Jaati,

Type By,

*.__SAJJAD__.*

Insan Hoon Khwahishon Ki Farawani Nahin Jaati,

Nadan Hoon Meri Baat Kyun Maani Nahin Jaati,

Wafa K Ghar Banate Hain Kabhi Yeh

Sahil_e_Dil Pe,

Muhabbat Karne Walon Ki Nadani Nahin Jaati,

Yun Saazishon K Jaal Se Rab Ne Bacha Liya,

Khud Mere Dushmanon Ki Herani Nahin Jaati,

Tanha Tha Izrtaab Main Bola Yeh Ek Zaeef,

Aye Kaash Meri Shookh Jawani Nahin Jaati,

Sun Le Meri Masoom Sadaon K Hareef,

Bikhri Howi Mojon Ki Rawani Nahin Jaati,

Kal Aaine Main Dekh Kar Aisa Laga Mujhe,

Mere Chehre Se Maazi Ki Kahani Nahin Jaati,

Dhundla Diye Hain Waqt Ne Chehron K Yun Naqoosh,

Bohot Jaani Howi Soorat Bhi Pehchani Nahin Jaati,

 Na Hota Zindagi Pe Gar Azal Se Moat Ka Pehra,

Kabhi Khud Lote k Dunya Ki Deewaani Nahin Jaati,

Jhalakta Hai Mehakta Hai Paseena Baaghbanon Ka,

Chaman Main Raigaan Hargiz Qurbaani Nahin Jaati,

Dhoop Chaon Main Kadorat Kyun Hai,

Poet _ Mohsin Naqvi,

Type By

*.__SAJJAD__.*

Dhoop Chaon Main Kadorat Kyun Hai,

Saya Insan Ki Zaroorat Kyun Hai,

Aankhon Aankhon Yeh Kashish Kaisi Hai,

Chehra Chehra Teri Soorat Kyun Hai,

Tesha_e_Waqt Ki Har Zarb Se Pooch,

Seena_e_Sang Main Moorat Kyun Hai,

Roz Kya Taza Janaze Ka Jaloos,

Roz Ek Gham Ka Moohrat Kyun Hai,

Jis Ne Kal Mujh Ko Ganwaya,

Mohsin,

Aaj Osay Meri Zaroorat Kyun Hai,